Ek sadi si beet gayi khayalon main,
Bikharte armanon main,Tutte sapnon main.
koi batade muqaddar ka sahi pata,
Taki jiten hum, jab na ho koi khata.
Kashmakash main dubi thi kaynaat,
Jahanum si thi jannat ki halat.
Bahane dhund rahe the khush hone ke,
Khushiyon ko gale lagane ke.
Khushi kabki khatkata rahi thi dil ka darwaza,
Humne hi di thi apne hosh ko saaza.
Ki suna ko ansuna kar diya,
Umeed ko andekha kar diya.
Dhaaga jab mila sahare ka,
Aas na thi tab jeene ki
Mushakat kaun kare ab dhagge ko pakadne ki,
Nakaami pe hai iljaam humare iradon ko jakadne ka.
Ab bas,bahut ho gaya,
Hausla jaga aur darr so gaya.
Lo tod diya humne sarhadon ko,
Tham liya aashayon ke bahon ko.
Ab chatta hai nakaami ka andhera,
Khul ke aaya umeedon ka savera.
Ab keematon ki parwah nahi,
Saahilon se darna nahi.
Ab manzil hai panahon main,
Chal pade hain hum jeet ki rahon main.
Gaata rahe mera dil sunlo,
Rok sako to rok lo....
Monday, December 28, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
"the fighting spirit": although an ideal one ;)...keep it up :)
its good
Post a Comment